सोमवार, 16 अप्रैल 2007

Aarti bhagwan narayan


Om jai Jagadish Hare, svami jat Jagadish Hare,

bhakt janon ke sankat, shan men dur kare,

Om jai...


Jo dhyave phal pave, dukh binse man ka,

Sukh sampati ghar ave, kasht mite tan ka,

On jai..


.Matpita tum mere sharan gahun main kiski,T

um bin aur na duja, as karun main jiski,

Om jai...


Tum puran Parmatma, tum antaryami,

Parbrahma parmeshvar tum sab ke svami,

Om jai..


.Tum karuna ke sagar, tum palan karta,

Main murakh khal kami, kripa karo bharta,

Om jai...


Tum ho ek agochar, sabe ke pranpati.

kis vidh milun dayamai, tum ko main kumati,

Om jai...


Din bandhu dukh harta, tum rakshak mere,

Apne hath uthao, dvar pada main tere,

Om jai...


Vishai vikar mitao, pap haro deva,

Shradha bhakti badhao, santan ki seva,

Om jai...


Tan man dhan jo kuchh hai, sab hi hai tera,

Tera tujhko arpan, kya laga mera,

Om jai....

कोई टिप्पणी नहीं: